Sibling love
Kya kahun is pyaar ke baare mein
Labz bayan nahin karsakte
Mere yaar ke baare mein
Woh yaar jisne har waqt saath diya
Kehne ko to sirf bhai hai mera
Lekin har kirdar ada kiya
Sirf bhai kaise kehdun use
Jisne kabhi dost bankar
Meri galti chupayi
Toh kabhi validen bankar dant lagayi
Sikhaya to bahot kuch hai usne
Par jo pyar usne diya
Aur dena sikhaya
Wo mein kabhi na bhul payi
Zindagi ke har us mod par
Jab dil tootne ki awaaz ayi
Use sun kar wapas jod dene wala jo tha
woh tha mera bhai
Kabhi koi baat us se nahi chupayi
Dil ki har baat bhi hai use batayi
Par dil ki ye baaten us se kabhi na bol payi
Ladai jhagde to bahot kiye hein uske saath
Naye jagde to chodo
Humne toh abhi tak purani bhi nahi suljhayi
‘Tujhse kaun pyaar karta hai’
ek dusre ko ye baat hamesha sunayi
Magar jo is takrar mein bhi pyaar ko dekhle
Aisa hai mera bhai