Description
Ye kitab mere jeevan mein beeti kuch sachi kahaniyon par adharit hai.. Jinme mere rishte bhout si mahilaaon se rahe….mein aurat ki rehasyamyi prakriti ko kbhi samjh nhi paya…par mein ye samjh gya ki mahilaye itni rehasyamyi kyu hai?
..Jo mujhe lagta hai..Aadmi or aurat ke ek dusre ke prati vyahvaar ,mansikta. Kuch ajeeb dhang or achanak se bane aurat or aadmi ke beech ke rishte .
Sex mein aurat admi ki ruchi or is sex shabd ke baare mein bhartiye samaaj ki or humare youth ki soch .
Ese 7 kahaniya jo mere jeevan mein beete. mujhe nhi maloom tha mene itni gambhirta se in ghatnao ka nirakshan kiya hua hoga. Mere subconcious mind mein kab ye sab jama hota gya, kab mere vicharo mein badlav or gehrai aayi .
Tabhi mene kitab likhne ka socha. Mere bhout se jaankar jo mujhe bhout nazdeet se jaante the ..uhnone mujhe casanova ka tag diya. Par mein Casanova nhi hu yhi mere kitab hai…
JEEVAN PARICHAY
Mera janm 16 march 1990 mein baghpat district ke baraut namak kasbe mein hua. Jeevan ke shruati din. Kheda Hatana namak gaaon mein hi beete.
Pitaji ke army mein hone k karan mere parivar ne gaao chod diya or hum har us jagah rahe jaha jaha mere pitaji ka
transfer hota raha. Bharat brahman ka isi trah moka mila ..har do saal baad mere pitaji ka sthanantran hojata tha.
2004 mein mere pitaji army se retire hue or hum meerut mein bas gye. Vhi se mere aage ki padhai hui. Meerut college se sanatak ki degree li. Halaki padhai likhai mein mere koi ruchi nhi thi.lkin jitni jarurat mujhe lagi padhne ki utni hi padhayi ki mene. Mujhe kitabe padhna acha lagta hai mene bhout kitabe padhi hai. Jiske karan mere ruchi lekhan mein bhad gyi. Lekhako ke vichar padhte padhte.
Mere bhi vichar gehre hote chale gye .kab mein me jeevan ka gehrai se nirakshan karne laga mujhe pata bhi ni chala .
Reviews
There are no reviews yet.