Dosti - ZorbaBooks

Dosti

Jab dost roothe tab duniya sooni si lage,

Wo khaas dosti ab ajnabi si lage.

Hasi ki mithaas Badli khamoshi mein,

Jaise aasmaan chalaya ajnabi baadal mein.

Guzre pal yaadon ke bina reh gaye,

Wo dosti ki daastan ab adhuri lage.

Wo aankhon ne kya khoya wo samaj na saki,

Dard bhari wo aankhen Mann ke andar chupa dard wahi reh gaye.

Par na ghabra tu,

Ye hai mauka naya .

Dosti ki tareekh ab phir se chamkane ka.

Haath badhane se hi badal sakta hai rishta,

Baat cheet se hi ho sakta hai dil ka paara.

Dosti ki aag ko bujha na sake koi baarish,

Bade dukho ke bavajud wahi humare sabse mishaal.

Khushi aur dukh ke pal mei bhi wo meri saheli,

Dosti ki kahani rahegi humen har khaas pal mai yaadein rangini.

Leave a Reply