25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin - ZorbaBooks

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin,

Ghar se daftar, daftar se ghar,

Bus yehi hai meri zindagi…………..

 

Umeedein hai bahut khud se aasman chune ki,

Magar barso se zameen mein zindagi reng rahi……….

 

Sar par hai logo ka udar, banks ka karz,

Aur us pe hai ke ghar ke kharche pure hote nahin,

Mahina ke aakhri mein bachta nahin hai kuch bhi………..

 

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin,

Ghar se daftar, daftar se ghar,

Bus yehi hai meri zindagi…………..

 

Musalsal koshishe karta hu ke badlu bura waqt, 

Magar yaar, kamiyabi hai ki kahi milthi nahin……….

 

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin,

Ghar se daftar, daftar se ghar,

Bus yehi hai meri zindagi…………..

 

Duniya 5G ki speed pe bhag rahi,

ChatGPT companies mein hulchul macha rahi,

Writer log ki naukri khatre mein aa jayagi………….

 

Arz karta hu, guar se suniya,

 

Mandi ke zamane mein, layoffs ke kale badal hai,

Bacha na koi is khofnak barish se,

Kyu ke har kisi ka baap Ambani, Tata, Birla nahin hai…………..

 

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin,

Ghar se daftar, daftar se ghar,

Bus yehi hai meri zindagi…………..

 

Salary hike, job promotion yeh sab jhute wadein hai,

Hath mein jab pakdayagi company termination letter,

Jab kiya karega tu kehaga boss tere mu pe,

Rasta napo ab tumhari nahin hai zarurat…………

 

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin,

Ghar se daftar, daftar se ghar,

Bus yehi hai meri zindagi…………..

 

Job market ki demand pe, koi cheez permanent nahin hai,

Job requirements puri karte karte,

Kab tu apni basic requirements puri karega,

PF, basic allowance, house accommodation, aur kiya degi company,

 

Apni kabiliayt ku tu kiya bechne nikla hai idar

Aur aakhri mein mila kiya tujhe 9 to 5 job mein? 

Baba ji ka thulu!

 

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin,

Ghar se daftar, daftar se ghar,

Bus yehi hai meri zindagi…………..

 

Har ek ki kamiyabi zyada der tak tikti nahin hai,

Main kabhi uruj pe tha toh aaj mera zawal hai,

Bhul gaye hai hum sab daftar log,

4*4 cubicle cells ke bahar bhi ek duniya hai…………

 

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin,

Ghar se daftar, daftar se ghar,

Bus yehi hai meri zindagi…………..

 

Job hi na samajh aaya toh koi chota-mota karobar kar,

Kuch na ho karne ko toh kuch bhi kar ke nikal,

Phad nikal,

Jo bhi kar khud ke bal bude pe kar………….

 

Jitni lambi udan hogi, manzil utni kareeb hogi,

Warna chil kavvo ka shikar ban kar reha jayaga,

Kiya sochta hai ab,

Chal is pinjare ke bahar tu nikal………..

 

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin,

Ghar se daftar, daftar se ghar,

Bus yehi hai meri zindagi…………..

 

Tel, aata, chawal, petrol ke dam se hai aam aadmi pareshan,

Sarkar ke sunere khwab sab khokle batein hai yeha,

Kiya badla hai Hyderabad mein tu bata,

Wohi Irani chai, wohi biriyani ka taste, wohi berozgari, wohi chabutar mashoor hai yeha……………

 

25 hazar ki naukri magar sukoon zara bhi nahin,

Ghar se daftar, daftar se ghar,

Bus yehi hai meri zindagi…………..

KCR dada, Rahul baba, Modi jumlebaaz hai,

Magar apun aaj bhi one-man army khada Hyderabadi hai,

Dat ke muqabla karega har muskil waqt ka,

Naam tu mera yaad rakh lena, naam mera “Pathan” hai……………….

A poem dedicated to all employees of the corporate world 

Leave a Reply

Mohammed Zahoor Khan