Dosti Ka Farz
Zindagi ke raho me kabhi khushiya na mile
Tho ghabrana mat ye mere dost
Kabhi tho milegi tumhe zindagi ke har sukh
Agar na mile tumhe vo khushiya
Tho khud ko banadugi ek jariya
Tumhari khushi ki.
Agar tumhare raho pe kante beeche ho
Aur us raha ko paar karke mile tumhe manzil
Tho darna mat ye mere yaar
Apne apko banake ek chadar
Letugi me un kanto pe
Chadna us chadar pe aur pa teri manzil
Zindagi ke samne agar andhera chaye
Us andheo me chupi hai tumhari khushi
Tho chok na mat ye mere dost
Khud ko jala ke banugi tumhari roshini
Us roshini ke sahare palena apni Khushi
Kyunki tumhari khushi me meri khusi
Tumhara dukh mera dukh
Tumhara asu mere asu
Tumhari zindagi meri amanath
Tumhari khushiya mera farz
Kyunki ki hai tumse dosti
Aur nibhana hai muhje dosti ka farz